Saturday, October 10, 2009

munni

"MUNNI" 7 bhai behno me sabse choti or dulari behan,lekin na jane kisne is nanhi pari ki khushiyo par nazar laga di,mehaz 11 saal ki umar me maa ke cancer ki bimari ki wajah se gujar jane ke baad munni ghar me bhai behno ke bich bhi akela pan mehsus karne lagi,maa ki bimaari ne itne kam umar me he munni ko jhagjhol kar rakh diya tha,din raat maa ko cancer ke karan hone wale dard se tadapta dekh munni mann he mann roti,lekin khud jub maa ke saamne hoti to badi he majbuti se khadi rehti,jese ki is bachchi ko maa ke bimaar hone se koi pareshani ka samna he na karna pad raha ho,aakhir doctors kihazar dawaiyan bhi maa ko na bacha saki or maa ka dehaant november me ho he gaya,wo chatt parv ka pehla din tha,ye parv munni ke jivan me ek lambe samay tak chalne wala andhakar le kar aaya tha,jisse ki shayad wo bhi anbhigg nahi thi,itni kam umar me bhi sub kuch samajhne ki kshamta aa gai thi munni me ,lekin maa ke na hone se jiwan me ek khalipan sa aa gaya tha,dekhte he dekhte saal gujarte gaye,do badi behne to pehle se he vyaahta thi ab tishri behan subhadra ka bhi vivaah ho gaya,mehaz 13 varsh ki umar me he munni ke upar pure ghar ka bojh aa gaya,phool si bachchi har roj ghar ka sara kaam karke,,3 bhaiyon or pita ke liye khana banati or fir khud school ke liye nikal jaati,pita ke paas dhan ki kami ko jante hue usne kabhi pita se paddhai ke liye jyada paise nahi mange,sarkaari girl school me padhtne wali bachchi ko jub class-teacher ne mann laga kar paddhai karte dekha to bine fees ke tution padhane ke liye khud he raji ho gai,lekin munni ki kismat ko to jese kuch or he manjur tha,is nanhi si jaan se shayad kismat ko bhi jalan hone lagi thi,munni ghar to gai apni khushi batane,ki teacher use bina fees ke tution padhana chahti hai, lekin waha pehle se he munni ke kismat ko kisi alag he disha me moda ja raha tha,badi behan sharda garvwati thi,is karan wo pita ke ghar chali aai,lekin ghar par garvwati stri ki sewa ke liye koi nai tha,isi liye ab iska pahad bhi munni par he tuta,vikrit mansiktaao se bhare pariwar walo ne nanhi si bachchi ke liye ek tanasaahi halafnaame jesa farman suna dala, ab munni ka school jana band karwa diya gaya, jis bachchi ne paddh likh kar aage baddhne ke sapne dekhe the,uske sapne khud badi behan ne apne swarth ke liye yeh keh kar tod daal,ki "kya kregi paddh kar?" jis badi behan ke aane se munni khushi se phule na sama rahi thi uski he shewa krne ke liye ab munni ka school jana band karwaya ja raha tha,ab wo karti to kya karti,maa to is duniya me thi nahi,or pita se juban ladane ki wo soch bhi nahi sakti thi,bas mann he mann ro bilak kar apni paddhai ko behan or pariwar ke liye kurban karr gai,saatvi kakcha ki is honhar bachchi ke sapne jese kachche mitti ke ghade ki tarah tod kar pani me bahaye ja rahe the,angreji ki taalim lene ke sapne dekhne wali munni ko school se he dur kiya ja raha tha,use asiksha ke andhakar ke or jaan bujh kar dhakela ja raha tha,or dukh to is baat ka tha ki ye sub karne wale koi or nahi,balki munni ke apne the,wo apne jinhe samaaz pariwar kehta hai,bhai behan or pita kehta hai.na chaah kar bhi munni ko school chhodna pada,dushre bachche jub school jaate tub munni ghar ka kaam karti,or jub dushre bachche khelte tub wo behan ke 3 bachcho ko sambhalti.


lekin shayad takdir ko yahi manjur tha,samay bita or sharda ne ek ladke ko janam diya, ab tak to munni ko jese kaam karne ki mechine me tabdil kar diya tha subne,din bhar bichari bachchi ghar ke kaam karti rehti or bache hue samay me behan ke bachcho ko sambhalti

3 comments:

SpLeNdIfErOuS StalWaRt said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

paristhiyan insaan ko waqt se pehle hi mature bana deti hai..ye koi nayi baat nahi hai....adhikanshtah aisa hi dekhne ko milta hai...swarth insaan ko dekhne hi nahi deta ki wo vaastav main sahi kar raha hai ya gala ..shayad anubhuti hi nahi hoti tabhi to shoonya sa hokar bhawnayein dam tod deti hai aur insaan samaj ki is kattarta ko ek aadat sa bana lei hai...tabhi to iska virodh hone par log uske jeevan ke vyavdhan ko samne khada kar dete hain....

Unknown said...
This comment has been removed by the author.