Saturday, February 13, 2010

ganga jal

dev-nadi,bhagarathi,sursari,mandakani or na jaane kitne he naamo se jaane jane wali GANGA,jise ki purv-uttar me GANGA MAIYA v kaha jata hai, jiske jal ko amrit ke samtulya darja de kar log na kewal grahan karte hai,balki moksh paane ke liye usme snaan v karte hai,jis ganga ke jal ko log kawar me baandh kar,milo dur se paidal chal kar shiv ke alag alag dhamo me lakar shiv ke upar na kewal arpan karte hai,balki har tarah ke puja-paath or archana ko jiske bina adhura mana jata hai,jiski mitti tak ki puja ki jaati hai or jisme har saal laakhon nahi,balki karodon shradhalu dubki laga kar khud ko pavitra karte hai,jisme marnoprant har hindu ki asthiyan awasya bahai jaati hai taaki use moksh mil sake,to fir usi GANGA ka jal aakhir kyu har us hindu ko pilaya jata hai,jo maran saia par let kar apni aakhiri saanse gin raha hota hai?

Kya use wo ganga jal kewal is liye pilaya jata hai,ki wo jal uske gale me ja kar atak jaye or uski jo kuch gini-chuni,kast bhari tuti-futi saanse bachi hui hain,wo bhi ruk jaye,or use jald se jald kast bhare uske is jivan se mukti mile?

Ya fir use wo jal is liye pilaya jata hai,ki ganga ka jal uske andar jaate he use ek naiyi shakti mil jaati hai,jisse use moksh ki praapti hoti hai saath he uske jivan bhar ke paap ek pal me dhul jaate hai or swarg ke darwaje uske liye khud-b-khud khul jaate hai?

Agar ganga ke jal ke ek dhaar me itni shakti hai,to jo ganga marte vyakti ke gale me utar kar use shakti pradaan kar sakti hai, wo jivit vyaktiyo ke pida ko kyu nahi har leti? Kyu nahi uske jal se logo ke paap or dukh such me dhul jaate hai, kyu nahi usme snaan karke log rog mukt ho jate hai?

mai janta hu ki mere is kathan ke kuch hisson se kai log ittifaak nahi rakhte honge or shayad ispar beahdd aitraaz bhi jatayenge,lekin fir bhi aap sub se anurodh hai ki apne vichaar yaha avasya prakat kare,or GANGA ke sahi matlab or maksad ko samjhe or samjhaye.







amit~~

2 comments:

SpLeNdIfErOuS StalWaRt said...
This comment has been removed by the author.
Anonymous said...
This comment has been removed by the author.